Category-wise Sales Analysis kaise likhein DSR mein?
๐ Note: Ye post mere pichhle blog se related hai. Agar aapne abhi tak mera pichhla post Retail Store mein Daily Sales Report (DSR) kaise banayein? | Format, Tips aur Common Mistakes nahi padha hai to pehle usse zaroor padhein. Us post mein aapko DSR ki basic knowledge, format, tips aur common mistakes ke baare mein poori jankari milegi — jo is current post ko achhe se samajhne mein madad karegi.
Retail store mein har product category ki performance alag hoti hai. Isiliye DSR mein category-wise sales ka analysis karna zaroori hai. Yeh analysis store owner ko yeh samajhne mein madad karta hai ki kis category mein growth hai aur kismein slow down.
Format Example:
Category | Sale (₹) | Units Sold |
---|---|---|
Men's Wear | ₹25,000 | 32 |
Women's Wear | ₹40,000 | 50 |
Accessories | ₹5,000 | 15 |
Tips:
- Category codes ya names fix karein DSR ke liye
- POS system se category filter use karke data nikalein
- Low performing categories ko highlight karein
Yeh analysis store ko better product planning aur inventory decisions mein help karta hai.
Author: Retailer Gyan Team | Date: 14 May 2025
Comments
Post a Comment